Na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota,
Deboya mujh ko hone ne, na hota main to kya hota…
Idhar aa sitamgar hunar azmayein,
Tu teer aazma hum jigar azmayein..
Na Jane Kyun Magar Phir Bhi Mera Dil Karta Hai,
Wafaa Ko Aag Lag Jaye, Mohabbat Bharr Mein Jaye..
Tamam Neendain Girvi Hain Uss ke Pas,
Zara Se Muhabbat Li Thi Jiss Se..
Meri Chaahat Ka Mukhtasar Mausam,
Rizq Ki Justuju Mein Beet Gayaa..
Chalo Ke Ajj Bachpan Ka Koi Khail Khalein,
Bari Muddat Hoi Bewajah Hans Ker Nhi Dekha..
Samar naseeb main ho ga to mil hi jai ga,
jo shaakh phoot rahi hy os ko phalny do.
Kuch Is Tarah Se Ibaadat Khafaa Howi Hum Se,
Namaaz-e-Ishq Bohat Kam Adaa Howi Hum Se..
Taabeer Dhoondta Hun Mein Apne Liye,
Aur Khwaab Dekhta Hun Kisi Aur Ke Liye..
Ajeeb rishta raha kuch is tarah apno se,
Na nafrat ki waja mili na mohabbat ka silah..
Haal yeh hai ke teri yaad mein gum hoon aese,
Sab ko meri, Mujh ko teri parri rehti hai..
Wo Saamnay Tha Magar Ye Yaqeen Na Aata Tha,
Wo Aap Hai Ke Meri Khwaahishon Ka Saaya Hai ?
Uski Baatain Theen Riwaayat Se Hatt Kar Mohsin,
Sab Mein Rehta Tha Magar Sab Se Judaa Lagta Tha…!
Yun Jalaate Ho Jesy ‘SAWAB’ Milta Ho,
DIL Hai Mera, Chiragh-e-Masjid To Nahi…

No comments:
Post a Comment