..

.

Wednesday, 25 April 2012

MAT JODO ATANKWAD KA NAM MADARSO SE…


MAT JODO ATANKWAD KA NAM MADARSO SE…

MEDIA KE LIYE EK SHER…

Kabhi yajooj likhta hai kabhi majooj likhta hai,
Wo apne aapko is ahed ka mabood likhta hai,
Usse kah do ye zarre amn ki tableegh karte hain,
Usse kah do ye zarre amn ki tableegh karte hain,
Wo pagal Madarso ki ret ko barood kahte hain…


EK NAZAM MADARSO KI SAHI SHAKAL DIKHANE KE LIYE…

MAT JODO ATANKWAD KA NAM MADARSO SE…

Mila hamesha chahat ka paigham madarso se…
Mat jodo atankwad ka naam madarso se,
Koi ilzam madarso se, koi ilzam madarso se,

Yahan Quran-e-pak ki har lamha hai tilawat hoti,
Zarre zarre mein hamdardi aur muhabbat hoti,
Kabhi nahi ho sakta qatl-e-aam madarso se,

Mat jodo atankwad ka naam madarso se,
Koi ilzam madarso se, koi ilzam madarso se,

Chahe sheikhul hind ho ya fazle hasan khaira badi,
Jung-e-azadi mein sabne apni jaan lada di,
Mila humein azadi ka inaam madarso,

Mat jodo atankwad ka naam madarso se,
Koi ilzam madarso se, koi ilzam madarso se,

Jung-e-Azaadi mein firangi laakh Quran jalaye,
Kisi bhi hafiz ke dil se ek harf mita na paye,
Liya hai ALLAH ne aisa bhi kaam madarso se,

Mat jodo atankwad ka naam madarso se,
Koi ilzam madarso se, koi ilzam madarso se,

Padi zarurat desh ko jab jab kiya kamal inhi ne,
Desh ko ek se ek badh kar diya hai laal inhi ne,
Nikle Zakir, Fakhruddin, Kalam madarso se,

Mat jodo atankwad ka naam madarso se,
Koi ilzam madarso se, koi ilzam madarso se,

Sazish thi ye humein ladakar raj karenge har dam,
Jhuka diya lekin angrezo ke ghurur ka parcham,
Huye firangi bhi akhir nakam madarso se,

Mat jodo atankwad ka naam madarso se,
Koi ilzam madarso se, koi ilzam madarso se,

Wazu ke lote, kuch Quran aur tooti hui chatayi,
Jise dekhna hai wo akar dekhe ye sachayi,
Phaila hai aur phailega Islam madarso se,

Mat jodo atankwad ka naam madarso se,
Koi ilzam madarso se, koi ilzam madarso se...

SAID BY IMRAN PRATAPGARHI

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...